Site icon Tej Babas

CSK Ko Laga Bada Jhatka IPL 2024 Season Se Pahile Bahar Ho Gaye All-rounder Shivam Dube

CSK

CSK : Shivam Dube Kam Se kam IPL Ke pahile Half season nahi khel payenge, Aisa mana ja raha hai ki Shivam Dube ko Puri tarah fit hone mein Takriban 8 weeks ka samay lag sakta hai.

CSK Player Shivam Dube Injury

IPL season Start hone se pahile Mahindra Singh Dhoni ki agvai vali Channai Super Kings ko bada jhatka laga hai, media Report ke mutabit Shivam Dube Kam se Kam ipl ke Pahile half season mein najar nahi aane vale hai, Shivam Dube ka chotil hone csk team ke liye bada jhatka mana ja raha hai, Aisa mana ja raha hai ki Shivam Dube ko Puri tarah fit hone mein 8 weeks ka samay lag sakta hai, Shivam Ranji trophy nokout match bhi nahi khel rahe hai.

Chennai super kings ke liye bada jhatka laga

Time of India ke mutabit, Shivam Dube ranji trophy match bhi nahi khel rahe hai, asam ke khilaf match mein Shivam Dube chotil ho gaye the, halaki iss match mein Unone 121 run ki shandar inning kheli thi, Dube ki chot ne csk team management ki parshani bada di hai, Ranji trophy season Shivam Dube ke liye kafi shandaar raha hai, iss batsman ne mojuda Ranji trophy season mein bator Ballebaj 5 match mein 67.83 ki Average se 407 run banaye hai, vahi Shivam ne bator Gedbaj 12 wickets liye hai.

Kaisa Raha Hai Shivam Dube Ka IPL Career

IPL 2023 season mein Shivam Dube ne shandaar batting ki thi, Dube ne ballebaji ke alava bowling mein bhi acha kam performance kiya tha, last season mein Dube ne bator Ballebaj 38 ki average or 158.33 Strike rate se 418 run banaye the, aakde batate hai ki Shivam Dube IPL ke 51 match khel chuke hai, IPL mein Shivam Dube ne bator Ballebaj 141.79 Strike rate or 28.36 avarage se 1106 run banaye hai, jabki iss player ne IPL mein bator Gedbaj IPL mein 9.4 ki Economi or 41.5 ki average se 4 wicket apne naam kiye hai

Exit mobile version