IND Vs SA Test Match Highlights : Team India ki South Africa ke khilab Test Match mein Batting, Bowling, Or Fielding Tino Flop Rahi.
IND Vs SA Test Match Highlights – Flop Rahi Team India
South Africa ke khilab centuriyan mein khela gaya test match mein team India ko ek inning or 32 run se har ka samna karna pada hai, Rohit Sharma ki captaini vali team India South Africa ke against sab department mein fail rahi hai, match start hone se lekar khatam hone Tak South Africa team India ke aage dhik rahi thi, South Africa team ne batting bowling fielding sab aacha Kiya or uske ulta team India karti rahi sab fail rahe.
South Africa Team Ke Fast Bowler Ke Samne Nahi Tik Paye Batsman
South Africa ka ne toss jitkar Pahile bowling karne ka plan banaya, pahile batting karne utri team India South Africa ke bowlers ke aage tik nahi paye centuriyan bounce vali pitch lagatar wickets girte gaye, or team India ne sirf 245 run banakar puri team all out ho gayi, kl Rahul ne 101 run inning khel kar score ko 245 poch diya Rahul ke alava koi India ka Batsman South Africa ke bowlers ke aage tik nahi paye.
Team India ke 1st innings mein Kasico Rabada ne 5 wicket liye, or iske alava test match Debu karne vale South Africa ke nandre Burger ne 3 wickets liye, ek bar fir South Africa ke fast bowler 2nd innings mein team India ke Ballebaj par Jyada havi dikhe South Africa ke debu test match Burger sabse jyada 4 wickets liye, iske alava Marco Yasince ne 3 wickets liye, or Rabada ne 3 wickets liye, South Africa ke fast bowler dono innings mein team India ke batsman ko band kar rakh diya tha.
Fielding Mein Kya Raha Team India Haal
Team India iss match mein nahi bahut acchi fielding ki yani iss match team India ki bahut hi sadaran rah gai hai, halaki South Africa team ne itni aachi fielding nahi ki unke or se bhi catch chode gaye the.
Team India Ki Bowling Attack Kaisa Raha
Bowling mein team India kafi suth dikhe South Africa team ne condition ko samjhte huye kisi bhi spin bowler ko nahi khilaya or nahi kisi part time Bowler se bowling karai hai, toh vahi team India ne R Ashwin ko spinner ke rup mein khilaya tha, jo kisi rup mein kargar sabit nahi huye, or sirf 1 wicket liye.
Iske alava Team India ke Fast Bowler bhi kuch khas nahi kar sake sirf Bumra ne 4 wickets liye, or iske alava siraj ne 2 wicket liye, shardul Thakur sabse Mahenge sabit huye or sirf 1 wicket liye, team India iss test match mein har tari ke se South Africa team se piche rahti chali hai or match gava diya.