Shubman Gill in T20 : Shubman Gill ka international T20 record kuch accha nahi raha, shubham gill ko team India ka agla hone vala captain mana ja raha hai, Virat Kohli ki tarah vo lambe samay tak international cricket khel sakte hai Aisa mana sabka kahana hai, lekin Gill ka international T20 record kuch accha nahi raha hai.
Shubman Gill T20 World Cup
Gill South Africa ke against T20 series mein 2nd T20 Match mein sirf 8 run banakar out ho gaye, series ke pahile 1st T20 Match mein zero par out ho gaye the, team India ke iss young star ka yeh samay vakai kuch khas nahi raha hai, Gill Bharat ke Tino format mein open karte hai, team management ko unpar pura bharosa hai, Odi or test match mein shubham gill ka record thoda aacha hai, lekin T20 Match mein unka record kuch khas nahi raha hai, isliye team ko chinta karna lajmi hai.
South Africa ke khilab Series mein Gill 3rd T20 internationals Match mein review lekar Bach sakte the lekin gill Aisa kuch nahi kiya lekin usse pahle match gill ka balla khamosh hi Raha tha, 13 match ke 13 innings mein Unone sirf 312. run banaye hai, unka ousad 26 ka hai, or yah opening batsman ke liye yah accha nahi kana Mana jata hai, unka stick rate 145.11 ka hai. Ek bar ko aap kah sakte hai ki yah aakda itna bhi kharab hai mana ja sakta lekin aagar aap inn aakdo ko iss tarah dekhe ki 312 mein 126 notout run Unone ek hi inning mein banaye the, toh record sab baya karta hai, aagar aap iss inning ko na jhode toh gill ne 12 match mein 184 run banaye hai. Bite 8 innings mein Unone sirf westindies ke khilab 77 run banaye the.
Shubman Gill IPL Match Perform
Aagle saal T20 world Cup khela jana hai, toh Shubham Gill ke liye challenging rahne vala hai, Ruturaj, Yashvshi jaisval, Or Ishan kisan bhi opening ke liye majbut davedar ban rahe hai, aagar shubham Gill ka yahi form chalata raha toh unka T20 world cup khelna mushkil ho jayega.
Aisa nahi hai ki Gill T20 Match mein accha nahi khelte, Unone Last year IPL mein Dhamaka Kiya tha apne batting se IPL mein gill ka record kuch iss tarah hai IPL mein 91 match ki 88 innings mein 2790 Run banaye hai, unka highest score 129 ka hai, or Batting Average 37.7 ka hai, Or unka Stike rate 134.7 ka hai. Toh aise mein aab dekhna hai ki aane vale match mein gill apne aap ko kaise sambhal lete hai.
2 thoughts on “Shubman Gill : T20 World Cup Mein Apni Jagha Gava Sakte Hai”