SuryaKumar Yadav Ankle Injury : SuryaKumar yadav johansburg mein khele gaye T20 match Mein chotil ho gaye the, Fielding ke dwaran unka peir mud Gaya tha, Doctor ke checkup ke baad yah saf huva ki vah agle 2 Month se 3 month ground par vaspi nahi kar sakte.
SuryaKumar Yadav Ankle Injury
Team India ko Hali mein apni captain ni mein back to back T20 mein jeet dilane vale SuryaKumar yadav ki chot Gambhir batai ja rahi hai, aise mein SuryaKumar yadav aab cricket se dur rahne vale hai vo aab Feburary tak cricket ke ground mein vapsi nahi kar payenge, Ek Report ke dwara yah news samne aai hai.
Indian Express ki ek report mein Sutro ke havale se bataya gaya hai ki SuryaKumar yadav jab week mein South Africa se India aaye to unke ghutne ka scan Kiya Gaya, isme Great 2 ka tier fatna Report mein paya gaya hai, aise mein chot ki Gambhir tha se dekhte huye aab vo Afganistan ke saath hone vale T20 series mein hissa nahi le payenge.
T20 World Cup Mein Lag Sakta Hai Jhatka
Afganistan T20 series World Cup ke Pahile team India ki aakhri T20 series rahne vali hai, team India ko apni T20 World Cup tayari ke liye sahi combination khojne ke liye bhi yahi last T20 Series honi vali hai, aise mein iss T20 series se SuryaKumar ke ger mojud rahne ke karan Team India ko kuch haat Tak jhatka mana ja raha hai.
South Africa Johansburg Mein T20 Match Mein Lagi Thi Chot
South Africa tour mein team India ki T20 series apne naam kar liya tha, toh vahi SuryaKumar yadav ko South Africa T20 series mein se last T20 mein fielding karte time SuryaKumar ka ghutna mood gaya tha, iss match ki 1st innings mein SuryaKumar ne bahut hi jabardast batting ki or apna Hundred Pura Kiya, iske baad jab South Africa ki batting aai toh 3rd over mein South Africa player dwara lagaye ek short ko rok kar or throw marte samay unke ghutna mood gaya our ve chotil ho gaye.