T20 World Cup 2024 : iss saal khele Jane vale T20 World Cup ke liye 15 Players ka selection ho Gaya hai? Team India ke captain Rohit Sharma ne T20 World Cup ke liye diye hai kuch bayan.
Table of Contents
T20 World Cup 2024 Team India Selection
T20 World Cup ke pahile team India ko afganistan ke against apni last international T20 Series Match khelni thi, jo aab Puri ho chuki hai, aab team India ke kheladiyo ke world cup se pahile tayari karne ke liye IPL 2024 ka season hi baki hai, aise mein kya team management ne world cup ke liye team ka selection kiya hai, ya world cup ko lekar team India Squad ki kya tayari hai, ispar Rohit Sharma ne bataya hai.
Team India ke captain Rohit Sharma ne jio cinema se baat karte time bataya ki, world cup ke liye pura squad to nahi lekin 8,10 players dimag mein hai, isliye ham condition ke hisab se combination banayege, westindies mein condition slow hai or ham uss hisab se chunenge.
Afganistan Ke Against Rohit Sharma Ka Hundred
Team India ne afganistan ke against apne 3rd T20 Match banglore ke Chinna shwami stadium par khela, jaha captain Rohit Sharma ka balla jabardast garja match mein Rohit Sharma ne 69 Ball par 11 Four or 8 six ki madat se 121 run banaye, Rohit Sharma ke balle se run tab nikle jab team India kafi kharab halat mein thi, yeh Hitman Rohit Sharma ka 5th Hundred hai, Rohit Sharma T20 internationals match mein sabse hundred lagane vale Khiladi Ban Gaye hai.
2 Super Over Ke Baad India Ne Match Jeeta
Apko bata de ki India vs Afghanistan ke bich khela gaya T20 Match ek nahi balki 2 super over ke baad khatam huva pahile dono team ne 221-221 run par match tie kiya, jiske baad pahila super over khela gaya, pahila super over bhi tie par khatam huva jisme dono team ne 16-16 run kiye, fir second super over mein team India ne pahile batting karte huye 11 run banaye or afganistan ko all out karke match apne naam kar diya.