WTC Point Table 2024: World test championship point Table mein team India top par poch chuki hai, iss Pahile Pakistan ki team top par thi lekin aab 2nd no par aai hai.
WTC Point Table 2024 World Test Championship 2023-24
Perth Test mein Australia team ne Pakistan team ko 360 runo se karari shikast di hai, vahi team India ko Pakistan harne ka fayda huva hai, Darsal world test championship point Table mein team India top par poch chuki hai, isse pahle world test championship point Table par Pakistan ni team top par thi, halaki aab team India top par hai, India or Pakistan ke points persentage same hi hai, lekin team India test match Hari nahi hai, iss karan se team India point Table par sabse top par hai.
Pakistan Par Australia Ki Jeet Ke Baad Kitna Badla Point Table
Australia ke khilab Perth Test se pahile Pakistan team ke point 100 Tha, lekin aab har ke baad point 66.67 par aa gaya hai, aab tak Pakistan team ne 3 test khele hai, jisme 2 jeeta hai, jabki 1 test match mein har ka samna karna pada hai, Pakistan team ke 2 jeet or 1 har ke baad 24 points hai, vahi aab tak team India ne 2 test match khele hai, or dono test match westindies team ke samne kheli hai.
Usme team India ko 1 test match mein jeet mili or dusre test match mein match tie raha tha, yani aab tak team India ne koi bhi test match Hari nahi hai, iss tarah team India ke pass 16 points or 66.67 points persentage hai.
World Test Championship Points Table Mein Baki team kaha hai
Baki teams ki baat kare toh Newzealand 3rd no par hai, Newzealand ke pass 50 point persentage hai, toh vahi Bangladesh team ke pass 50 point persentage ke sath 4rt no par hai, Australia team ke 41.67 point parsetage hai, or Australia team 5 no par hai, iske alava westindies team 16.67 point ke sath 7 no par bana huva hai, halaki aab tak Australia team ne baki teamo ki tulna mein jyada test match khele hai, Australia team ne 6 test match khele hai, jisme 3 mein jeet Hasil ki hai or 2 mein har ka samna karna pada hai, or ek draw raha hai.
Australia Squad
David Warner, Usman Khawaja, Marnus Labuschagne, Steven Smith, Travis Head, Mitchell Marsh, Alex Carey (wk), Mitchell Starc, Pat Cummins (c), Nathan Lyon, Josh Hazlewood
Pakistan Squad
Abdullah Shafique, Imam-ul-Haq, Shan Masood (c), Babar Azam, Saud Shakeel, Sarfaraz Ahmed (wk), Agha Salman, Faheem Ashraf, Shaheen Afridi, Aamer Jamal, Khurram Shahzad